Kabhi kabhi meray dil
Page 1 of 1 • Share •
Kabhi kabhi meray dil
Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hay
k zindagee teri zulfon kee narm chhaon main
guzrnay paati to shaaadab ho bhi sakti thee
yeh tairgee jo meri zeest ka muqaddar hay
teri nzr kee shuaon main kho bhi sakti thee
ajab nah thaa k main bay gaana alam ho kar
teray wajood kee ranaaiyon main kho rehta
pukaarti jabb mujhay talkhiyan zamanay kee
teray labon say hilawat k ghoont p laita
magar yeh ho nah saka aor abb yeh alam hay
k too nahi tera gham teri justajoo bhi nahi
guzr rahi hay kuch iss tarah zindagee jesay
issay kissi saharay kee arzoo bhi nahi
zamanay bhar k dukhon ko laga chuka hoon gallay
guzr raha hoon kuch anjaani rah guzaaron say
moheeb saaayey meri samt dauray chalay aatya hain
hayat o maut k purr hol khaar zarron say
nah koyee jaada e manzil nah roshni ka suraagh
bhatak rahi hay khalaon main zindagee meri
inhi khalaon main reh jaoonga kabhi kho kar
main janta hoon meri ham nafas magar yoonhi
kabhi kabhi meray dil main khayal aata hay
k zindagee teri zulfon kee narm chhaon main
guzrnay paati to shaaadab ho bhi sakti thee

ali- Number of posts: 26
Registration date: 2007-08-31
Had-e-jana se guzar howa to......
Had-e-jana se guzar howa to muhabaton ka pata chaly ga,
Koi Muhabaton ki nazr howa to muhabaton ka pata chaly ga.
Abhi to phirty ho doston main aziz koi juda nahi hai,
Koi edhar say udher howa to muhabaton ka pata chay ga.
Abhi muhabat nahi hoi na kuch es liye muskura rahy ho,
Kisi ki baanhon main ghar howa to muhabaton ka pata chaly ga.
Vo jis ki khatir bana rahy ho zamaany bhar ko tum apna dushman,
Vohi na apna agar howa to muhabaton ka pata chaly ga...!!!!
Zohair Abdi- Number of posts: 3

Re: Kabhi kabhi meray dil
Sochta hun tanhai me kya yaad hai kya bhulaya nahin,
Kyun mili aisi saza jise maine kabhi manga hi nahin,
Mere azma ne wale mujhe azma ke bhi roye nahin,
Ek main hun jise har ek ne galati se bhi apnaya nahin,
Chhalakte ansoo ko ajtak maine kabhi roka nahin,
Dil to pathar ban gaya phir bhi main kabhi roya nahin,
Safar ne jab sath chhoda maine galati se bhi kuchh kaha nahin,
Khamsoh rehke samajh liya yahan koi bhi kisi ka nahin,
Rista jo bangaya tha dil ka sadiyon tak ye dil bhulega nahin,
USNE mujhe kho diya.. par maine USEYYYY kabhi khoya nahin !!

yasirzaidi- Number of posts: 25
Age: 24
Location: Karachi
Registration date: 2007-08-31

Permissions of this forum:
You cannot reply to topics in this forum